Kiyun Mehak rahi hai fiza aaj,
Kiyun khamoshiyaan gungunaa rahi hain
Kiyun Dil betaab ho raha hai aaj,
Kiyun dhadkanein kuch suna rahi hain
Kiyun Behak rahe hain kadam aaj,
Kiyun madhoshiyaan chhaa rahi hain
Kiyun khwaabon mein khoye hain hum aaj,
Kiyun Aankhein ik sapna dekhe jaa rahi hain
Mere khuda tu he bata,
Kiyun aaj saansein rukti jaa rahi hain..
By Mehek.