@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@
Tu kya jaane, hawa ka rukh kaisa hai
Ghamon ke iss des mein Khushi ka rang kaisa hai
Dil ki har baat reh jaati hai adhuri,
Tu kya jaane Dil ka samunder kaisa hai
Khamosh Tu hai har pal, har lamha tanhai hai
toofaan se lad rahi hai yeh Zindagi
Tu kya jaane, Dil ka mousam kaisa hai
Din ki Roshni, shaam ka gehra sakoot
Tu kya jaane,
Chaand ke bina Mera Aasmaan kaisa hai
Saddiyon ki si Judai, bebasi si hai chhai
Tu kya jaane,
Tareek Zindagi mein ummeed ka jugnuu kaisa hai..
By Mehek.